lahr is aankh mein lahrai jo be-zari ki
hum ne hanste hue phir kuch ki tayyari ki
mujh ko jis raat samundar ne utara KHud mein
main ne us raat bhi sahil ki taraf-dari ki
hum ne girya ko bhi aadab ke andar rakkha
apne aasab pe wahshat na kabhi tari ki
naqsh-e-pa DhunDta phirta hai sahar ka wo bhi
jis pe ek raat bhi guzri nahin bedari ki
raushni parda-e-mizhgan se chhani jati hai
kis ne ye KHwab-gah-e-dil mein ziya-bari ki
dil mein bhar laya hun mahrumi-e-duniya 'sajjad'
aaj bazar se phir main ne KHaridari ki
Ghazal
Lahr is aankh mein lahrai jo be-zari ki
Sajjad Baluch