lahje aur aawaz mein rakkha jata hai
ab to zahr alfaz mein rakkha jata hai
mushkil hai ek baat hamare maslak ki
apne aap ko raaz mein rakkha jata hai
ek shoala rakhna hota hai sine mein
ek shoala aawaz mein rakkha jata hai
hum logon ko KHwab dikha kar manzil ka
raste ke aaghaz mein rakkha jata hai
yahan to uDte uDte thak kar girne tak
chiDiya ko parwaz mein rakkha jata hai
aaKHir-e-shab jo KHwab dikhai dete hon
'azhar' un ko raaz mein rakkha jata hai
Ghazal
Lahje aur aawaz mein rakkha jata hai
Azhar Adeeb