lahar se lahar ka nata kya hai
mujh pe ilzam phir aata kya hai
bolti aankh mein billor ki ruh
sang-e-awaz uThata kya hai
roz o shab bech diye hain main ne
is bulandi se giraata kya hai
lakhon barson ke safar se hasil
dekhna kya hai dikhata kya hai
tir andhe hain shikari andha
khel hai khel mein jata kya hai
Ghazal
Lahar se lahar ka nata kya hai
Ahsan Yusuf Zai