lahar-lahar aawargiyon ke sath raha
baadal tha aur jal-pariyon ke sath raha
kaun tha main ye to mujh ko malum nahin
phulon patton aur diyon ke sath raha
milna aur bichhaD jaana kisi raste par
ek yahi qissa aadamiyon ke sath raha
wo ek suraj subh talak mere pahlu mein
apni sab naraazgiyon ke sath raha
sab ne jaana bahut subuk behad shaffaf
dariya to aaludgiyon ke sath raha
Ghazal
Lahar-lahar aawargiyon ke sath raha
Sarvat Husain