laghzishon se mawara tu bhi nahin main bhi nahin
donon insan hain KHuda tu bhi nahin main bhi nahin
tu mujhe aur main tujhe ilzam deta hun magar
apne andar jhankta tu bhi nahin main bhi nahin
maslahat ne kar diya donon mein paida iKHtilaf
warna fitrat ka bura tu bhi nahin main bhi nahin
chahte donon bahut ek dusre ko hain magar
ye haqiqat manta tu bhi nahin main bhi nahin
jurm ki nauiyyaton mein kuchh tafawut ho to ho
dar-haqiqat parsa tu bhi nahin main bhi nahin
raat bhi viran fasil-e-shahr bhi TuTi hui
aur sitam ye jagta tu bhi nahin main bhi nahin
jaan-e-'arif' tu bhi ziddi tha ana mujh mein bhi thi
donon KHud-sar the jhuka tu bhi nahin main bhi nahin
Ghazal
Laghzishon se mawara tu bhi nahin main bhi nahin
Syed Arif