laghzish-e-saqi-e-mai-KHana KHuda KHair kare
phir na TuTe koi paimana KHuda KHair kare
har ghaDi jalwa-e-jaanana KHuda KHair kare
tera dil hai ki sanam-KHana KHuda KHair kare
log kar Dalen na KHud apne jigar ke TukDe
be-naqab un ka chale aana KHuda KHair kare
dil ki baat un se abhi kah to gae ho lekin
koi ban jae na afsana KHuda KHair kare
shama bechain hai badnam na ho jaun kahin
par jala baiTha hai parwana KHuda KHair kare
kaun guzrega tere dar-o-rasan se hans kar
gham hai jaane kahan diwana KHuda KHair kare
panw uThte hi nahin 'shauq' jabin hai betab
samne hai dar-e-jaanana KHuda KHair kare
Ghazal
Laghzish-e-saqi-e-mai-KHana KHuda KHair kare
Abdullateef Shauq