lagte hain nit jo KHuban sharmane bawle hain
hum log wahshi KHabti diwane bawle hain
ye sehr kya kiya hai baalon ki darhami ne
jo us pari par apne begane bawle hain
ji jhonkta hai koi aatish mein nahaq apna
jalte hain shama par jo parwane bawle hain
ismat ka apni us ko jab aaphi gham na howe
lagte hain hum jo nahaq gham khane bawle hain
us mai ka ek qatra suraKH-e-dil kare hai
bhar bhar jo hum piyen hain paimane bawle hain
gardish se putliyon ki sar-gashta hai zamana
masti se us nigah ki mai-KHane bawle hain
jate hain us gali mein laDkon ko sath le kar
myan 'mushafi' bhi yaro kya syane bawle hain
Ghazal
Lagte hain nit jo KHuban sharmane bawle hain
Mushafi Ghulam Hamdani