lagta nahin kahin bhi mera dil tere baghair
donon jahan nahin mere qabil tere baghair
kuchh lutf-e-zindagi nahin hasil tere baghair
pal bhar guzarna bhi hai mushkil tere baghair
tu hi nahin to kaun kare meri rahbari
kaTti nahin hayat ki manzil tere baghair
dil par mere hi shaq nahin hai tera firaq
KHamosh hain chaman mein anadil tere baghair
phulon ke ibtisam pe aati hai ab hansi
aisa bujha hua hai mera dil tere baghair
hosh-o-hawas-o-aql-o-KHirad de gae jawab
yani nahin hun main kisi qabil tere baghair
har dam ye soch hai mere jine se faeda
jab maqsad-e-hayat hai baatil tere baghair
takmil-e-arzu se hai takmil-e-zindagi
kyunkar ho zindagi meri kaamil tere baghair
kashti nikal to aai hai gardab se magar
dil Dubne laga lab-e-sahil tere baghair
har dam taDap ke loTta phirta hun KHak par
goya bana hun tair-e-bismil tere baghair
aankhen hi pahle roti thin ab to ye qahr hai
rone laga hai KHun mera dil tere baghair
'nadir' ko jaan dene se kyun rokta hai tu
jine se bhi hai kya use hasil tere baghair

Ghazal
Lagta nahin kahin bhi mera dil tere baghair
Nadir Shahjahanpuri