lagta hai in dinon ke hai mahshar-ba-kaf hawa
hain sar-ba-kaf charagh to KHanjar-ba-kaf hua
jab se chaman mein rakkha hai bulbul ne aashiyan
shoala-ba-kaf hai barq to aKHgar-ba-kaf hawa
ruKHsar-e-gul ke til se hain hairan KHushbuen
hai mausam-e-bahaar mein ambar-ba-kaf hua
ilm-o-amal se hoti hai kirdar ki parakh
elan kar rahi hai ye mahzar-ba-kaf hawa
firaun aur abrha jaison se barha
har haal hi mein nibTi hai lashkar-ba-kaf hawa
eajaz sher-e-haq ka dikhane ke waste
azhdar ba-kaf hui kabhi KHaibar-ba-kaf hawa
gulshan mein mustaqil jo Thikana nahin mila
sahra naward ho gai bistar-ba-kaf hawa
diwan-e-be-nuqat se hai tera 'waqar-hilm'
kahti hai ahl-e-fan se ye gauhar-ba-kaf hawa
Ghazal
Lagta hai in dinon ke hai mahshar-ba-kaf hawa
Waqar Hilm Syed Naglavi