اردو हिंदी
Lagi hai bhiD baDa mai-kade ka nam bhi hai | Shaahi Shayari
lagi hai bhiD baDa mai-kade ka nam bhi hai

Ghazal

Lagi hai bhiD baDa mai-kade ka nam bhi hai

Ravish Siddiqi

;

lagi hai bhiD baDa mai-kade ka nam bhi hai
kuchh is mein KHub-e-rindan-e-tishna-kaam bhi hai

junun-e-shauq ne dil ko kiya tabah magar
kuchh is mein tere taghaful ka ehtimam bhi hai

kitab-e-zist hai yaksar hikayat-e-gham-e-dil
hikayat-e-gham-e-dil harf-e-na-tamam bhi hai

sukun-e-ahl-e-KHarabaat-e-ishq kya kahiye
ruki ruki si yahan umr-e-tez-gam bhi hai

butan-e-shahr hum ahl-e-wafa se hain be-zar
butan-e-shahr ko ahl-e-wafa se kaam bhi hai

wo shaKHs apni jagah hai muraqqa-e-tahzib
ye aur baat hai ki qatil usi ka nam bhi hai

charagh-e-subh ki afsurdagi nahin tanha
kahin qarib yahin aaftab-e-sham bhi hai

dar-e-sanam pa ruke hain magar ba-zer-e-qadam
hazar silsila-e-gardish-e-mudam bhi hai

jo KHalwaton mein sukut-ashna raha sadiyon
wahi 'rawish' se sar-e-bazm ham-kalam bhi hai