lage the gham tujhe kis umr mein zamane ke
wahi to din the tere khelne ke khane ke
na jaane KHanda-labi zahr-e-KHand kaise hui
wahi hai tu wahi andaz dil dukhane ke
charag jalta hua dur hi se dekh liya
rahe na hum teri mahfil mein aane jaane ke
falak ke pas mohabbat ki ek kiran bhi nahin
zamin kahti hai munh khol de KHazane ke
hai shahr shahr wahi jangalon ki virani
mile hain mujh ko shab o roz kis zamane ke
ye qafile ye chamakti hui guzargahen
hain ehtimam bahut dur tak na jaane ke
talash-e-rizq mein hum ne chaman to chhoD diya
magar dilon mein hain tinke bhi aashiyane ke
Ghazal
Lage the gham tujhe kis umr mein zamane ke
Shahzad Ahmad