lage KHadang jab us nala-e-sahar ka sa
falak ka haal na ho kya mere jigar ka sa
na jaunga kabhi jannat mein main na jaunga
agar na howega naqsha tumhaare ghar ka sa
kare na KHana-KHarabi teri nadamat-e-jaur
ki aab-e-sharm mein hai josh chashm-e-tar ka sa
ye josh yas to dekho ki apne qatl ke waqt
dua-e-wasl na ki waqt tha asar ka sa
lage un aankhon se har-waqt ai dil-e-sad-chaak
tera na rutba hua kyun shigaf-e-dar ka sa
zara ho garmi-e-sohbat to KHak kar de charKH
mera surur hai gul-KHanda-e-sharar ka sa
ye na-tawan hun ki hun aur nazar nahin aata
mera bhi haal hua teri hi kamar ka sa
junun ke josh se begana-war hain ahbab
hamara haal watan mein hua safar ka sa
KHabar nahin ki use kya hua par is dar par
nishan-e-pa nazar aata hai nama-bar ka sa
dil aise shoKH ko 'momin' ne de diya ki wo hai
muhib husain ka aur dil rakhe shimar ka sa
Ghazal
Lage KHadang jab us nala-e-sahar ka sa
Momin Khan Momin

