lage hue hain zamane ke intizam mein hum
kabhi KHawas mein shamil kabhi awam mein hum
pukarte hain buton ko KHuda ke nam se hum
gunah karte hain aur kitne ehtimam mein hum
phir us ka daKHl bhi kyun ho hamare kaamon mein
mudaKHalat nahin karte KHuda ke kaam mein hum
panah mangti hai dhaar tegh-e-mani ki
wo kaT rakhte hain alfaz-e-be-niyam mein hum
ab aaftab se mahtab ban gae honge
nazar na aaenge lekin ghubar-e-sham mein hum
nigah us ki meri samt chehra aur taraf
so chuk jate hain andaza-e-salam mein hum
meri namaz ki raftar par nazar rakkho
ruku-o-sajde mein hain aur na hain qayam mein hum
sabhi samaaten aankhon ko khol kar rakhen
chamak uThenge achanak kisi kalam mein hum
achanak aate hain girdab jaise dariya mein
ek inqalab ki aankhen liye awam mein hum
KHud apne jism ki be-hurmati bhi karte rahe
fana bhi hote rahe koshish-e-dawam mein hum
hamein bhi daKHl hai kuchh kar-gah-e-alam mein
har ek kaam ke bahar har ek kaam mein hum
hamara nam to hai qais-e-sakin-e-sahra
pukare jate hain 'ehsas' urf-e-am mein hum
Ghazal
Lage hue hain zamane ke intizam mein hum
Farhat Ehsas