lage hai aasman jaisa nahin hai
nazar aata hai jo hota nahin hai
tum apne aks mein kya dekhte ho
tumhaara aks bhi tum sa nahin hai
mile jab tum to ye ehsas jaga
ab aage ka safar tanha nahin hai
bahut socha hai hum ne zindagi par
magar lagta hai kuchh socha nahin hai
yahi jaana hai hum ne kuchh na jaana
yahi samjha hai kuchh samjha nahin hai
yaqin ka daera dekha hai kis ne
guman ke daere mein kya nahin hai
yahan to silsile hi silsile hain
koi bhi waqia tanha nahin hai
bandhe hain kaenati bandhanon mein
koi bandhan magar dikhta nahin hai
ho kis nisbat se tum 'jawed' sahab
na hona to hai yan hona nahin hai
Ghazal
Lage hai aasman jaisa nahin hai
Abdullah Javed