lagaen aag hi dil mein ki kuchh ujala ho
kisi bahane to is ghar ka bol-baala ho
numud-e-subh ko kaise kare jahan taslim
koi kiran ho kahin nam ko ujala ho
na tum mile na ye duniya-e-gham hi ras aai
tum hi batao ki is gham ka kya izala ho
ajab ajab si hain afwahen garm zindan mein
ajab nahin ki isi shab yahan ujala ho
phir us ki baat ka kaise yaqin aa jae
wo jis ki baat ka andaz hi nirala ho
kashan kashan hi chalo ye rawish hi behtar hai
kahin na zikr ho apna na kuchh hawala ho
Ghazal
Lagaen aag hi dil mein ki kuchh ujala ho
Wajd Chughtai