laga pahchanne main raste jab
nikala us ne mujh ko shahr se tab
hadaf kya tha kahan pahuncha hai insan
sharaf KHilqat mein aala aur ye Dhab
na rakkhi aas juz lutf-e-ilahi
ki kafi hai mujhe mera wo ek rab
kahen kuchh shaiKH ji kyun kar kaTegi
bina angur ki beTi ke ye shab
numayan kar gai haq ki haqiqat
shab-e-ashur jo aai thi ek shab
main aasi hun magar ghibat mein 'shaarib'
KHuda ka shukr hai khulte nahin lab
Ghazal
Laga pahchanne main raste jab
Syed Iqbal Rizvi Sharib