laga liya tha gale us ne ba-wafa kah kar
hamin ne Tal diya harf-e-ashna kah kar
kaf-e-talab pe kabhi to mere huzur likho
hina ke naqsh ko tahrir-e-KHun-baha kah kar
kuchh aisi shakl mujhe ru-ba-ru dikhai di
nazar palaT gai aaina-e-riya kah kar
uDa ke le gai mauj-e-saba na jaane kahan
tumhaare jism ki KHushbu ko aashna kah kar
fasil-e-waqt se aazad ho ke meri zaban
qubul-e-am hui dasht ki sada kah kar
thin jin mein dafn hazaron qadam ki aawazen
miTa diya tere talwe ne naqsh-e-pa kah kar
main apni waza pe qaem rahun 'shakeb'-ayaz
wo apni pyas bujhae bura-bhala kah kar
Ghazal
Laga liya tha gale usne ba-wafa kah kar
Shakeb Ayaz