laga ke naqb kisi rose mar sakte hain
purane dost naya rup dhaar sakte hain
hum apne lafzon mein surat-gari ke mahir hain
kisi bhi zehn mein manzar utar sakte hain
ba-zid na ho ki teri pairwi zaruri hai
hum apne aap ko behtar sudhaar sakte hain
wo ek lamha ki jis mein mile the hum donon
us ek lamhe mein sadiyan guzar sakte hain
hamari aankh mein jadu bhara samundar hai
hum us ka aks nazar se nithaar sakte hain
Ghazal
Laga ke naqb kisi rose mar sakte hain
Bilqees Khan