laga ke ghota samundar mein tum guhar DhunDo
kamal jine mein hai jine ke hunar DhunDo
muqaddaron se hi sab kuchh to mil nahin sakta
shajar lagao to mehnat ke phir samar DhunDo
uDan bharne ke hai waste falak sara
hain bazuon mein jo pinhan wo baal-o-par DhunDo
har ek raat mein to chandni nahin khilti
dahak raha hai kahin tum mein hi qamar DhunDo
guzar ke aag se Dhalta hai sona zewar mein
agar sanwarna hai 'tasir' shola-gar DhunDo
Ghazal
Laga ke ghota samundar mein tum guhar DhunDo
Taseer Siddiqui