laga ke dil koi kuchh pal amir rahta hai
phir ek umr wo gham mein asir rahta hai
kyun hath dil se lagate ho bar bar apna
kya dil mein ab bhi koi be-nazir rahta hai
teri zaban pe qanaat ki baat Thik nahin
tere badan pe libas-e-harir rahta hai
yaqin aa gaya in mehrban hawaon se
usi gali mein mera dast-gir rahta hai
tere firaq ka gham wo hai ki dilase ko
ta-subh baam pe mah-e-munir rahta hai
phir ahl-e-ishq ki taKHliq hoti hai pahle
junun ki aag mein barson KHamir rahta hai
Ghazal
Laga ke dil koi kuchh pal amir rahta hai
Anis Abr