اردو हिंदी
Laga ke dhaDkan mein aag meri ba-rang-e-raqs-e-sharar gaya wo | Shaahi Shayari
laga ke dhaDkan mein aag meri ba-rang-e-raqs-e-sharar gaya wo

Ghazal

Laga ke dhaDkan mein aag meri ba-rang-e-raqs-e-sharar gaya wo

Ajay Sahaab

;

laga ke dhaDkan mein aag meri ba-rang-e-raqs-e-sharar gaya wo
mujhe bana ke sulagta sahra mere jahan se guzar gaya wo

yun nind se kyun mujhe jaga kar charagh-e-ummid phir jala kar
hui sahar to use bujha kar hawa ke jaisa guzar gaya wo

wo ret par ek nishan jaisa tha mom ke ek makan jaisa
baDa sambhal kar chhua tha main ne pa ek pal mein bikhar gaya wo

wo sath mere tha jaise har pal wo dekhta tha mujhe musalsal
zara sa mausam badal gaya to chura ke mujh se nazar gaya wo

wo ek bichhDe se mit jaisa wo ek bhulae se git jaisa
koi purani si dhun jaga kar wajud-o-dil mein utar gaya wo

wo dost sare the chaar pal ke jo chal diye ham-safar badal ke
'sahab'-e-nadan wahin khaDa hai usi Dagar par Thahar gaya wo