اردو हिंदी
Laga ke aag bujhane ki baat karte ho | Shaahi Shayari
laga ke aag bujhane ki baat karte ho

Ghazal

Laga ke aag bujhane ki baat karte ho

Akhlaq Ahmad Ahan

;

laga ke aag bujhane ki baat karte ho
phaphule dil mein sajaane ki baat karte ho

nahin samajhte meri haalat-e-darun ko tum
faqat jo karte bahane ki baat karte ho

sunaun main jo kabhi haal apni ulfat ka
subut mujh se dikhane ki baat karte ho

guzar kar main yahan aaya hun shab-e-zulmat
karam na kar ke jalane ki baat karte ho

jo puchhta hun kabhi be-ruKHi ki main illat
bana ke baat banane ki baat karte ho

kabhi sitam pe jo bharta hun aah tab bhi to
mere lahu mein nahane ki baat karte ho

tere huzur mein aaya jo aahan-e-be-bas
pinha ke beDi na jaane ki baat karte ho