laga ho dil to KHayalat kab badalte hain
ye inqalab to ek be-dili mein palte hain
nikal chuke hain bahut dur qafile wale
hamein KHabar nahin hum kis ke sath chalte hain
kabhi hamein bhi milao to aise logon se
ki jin ki aankh mein ab tak charagh jalte hain
ye raat aisi hawaen kahan se lati hai
ki KHwab phulte hain aur zaKHm phalte hain
ruton ne apne qarine badal liye lekin
hamare taur wahi hain nahin badalte hain
ab e'tibar pe ji chahta to hai lekin
purane KHauf dilon se kahan nikalte hain
Ghazal
Laga ho dil to KHayalat kab badalte hain
Ashfaq Amir