اردو हिंदी
Laga hai aisa koi kasa-e-sawali hon | Shaahi Shayari
laga hai aisa koi kasa-e-sawali hon

Ghazal

Laga hai aisa koi kasa-e-sawali hon

Musavvir Sabzwari

;

laga hai aisa koi kasa-e-sawali hon
ye aankh jaise meri raushni se KHali hon

ye kya zaruri hai hum sari umr sath rahen
nahin ye baat ki qadren ye la-zawali hon

na jaane kaun pas-e-chashm mar chuka hoga
wo aankhen jaise kisi maqbare ki jali hon

sada se hain kisi nadida gunj ki tabe
ye bheDen sabz pahaDon ne jaise pa li hon

hai ghaTi ghaTi koi zahr-KHand chup ho jao
na jaane kaun se patthar yahan jalali hon