اردو हिंदी
Lag rahi jis tarah lala ke sare ban ko aag | Shaahi Shayari
lag rahi jis tarah lala ke sare ban ko aag

Ghazal

Lag rahi jis tarah lala ke sare ban ko aag

Ishq Aurangabadi

;

lag rahi jis tarah lala ke sare ban ko aag
dil ko apne dagh dew ai aashiqo aur tan ko aag

gul pe ye shabnam nahin pani chhiDakti hai bahaar
hae-re kinne lagai aa ke is gulshan ko aag

hum siyah-baKHton ka kyun-kar raegan jawe wabaal
sham nin phuli ye lagi hai falak ke tan ko aag

chal 'yaqin' ki baat par ai 'ishq' hum bhi jal maren
kya hi phula hai palas aur lag rahi hai ban ko aag