lag gai mujh ko ye kis shaKHs ki hae hae
ek lamha bhi mujhe chain na aae hae
siskiyan aah-o-fughan aur main kya kya dekhun
zulm itna bhi koi mujh pe na Dhae hae
jam hathon se pilata hai wo har sham ke baad
kash honTon se bhi ek rose pilae hae
mere mahbub tere ruKH ki ziyarat ke liye
chand ki chandni khiDki se bulae hae
ishq ke jurm mein karwa ke giraftar mujhe
koi pazeb ki jhankar sunae hae
dil churaate hain sabhi din ke ujale mein magar
koi raaton ko mera KHwab churae hae
dastan gham ki main jab jab bhi likhun kaghaz par
aks us mah-jabin ka ubhar aae hae
samna ho to chura le wo nigahen mujh se
dur jae to ishaare se bulae hae
us ki ungli mein wo tasir ki lazzat baKHshe
jab bhi wo chae mein ungli ko ghumae hae
us ko main dekh ke aaya hun to kya dekhta hun
us ke ushshaq mujhe dekhne aae hae
toD kar dil wo mera jab se gaya hai 'ishraq'
dil se har waqt nikalti hai sada-e-hae
Ghazal
Lag gai mujhko ye kis shaKHs ki hae hae
Ishraque Azizi