اردو हिंदी
Lafzon mein kaisa rang-e-maani dikhai de | Shaahi Shayari
lafzon mein kaisa rang-e-maani dikhai de

Ghazal

Lafzon mein kaisa rang-e-maani dikhai de

Mukhtar Shameem

;

lafzon mein kaisa rang-e-maani dikhai de
mere qalam mein aaj rawani dikhai de

jaise ho sath-e-KHwab pe ek be-sutun makan
aalam tamam dosto fani dikhai de

ye dagh dagh apna dil-e-gham nasib tha
yaro nigar-KHana-e-mani dikhai de

tum talKH zindagi ke haqaeq se be-KHabar
tum ko hayat kyun na suhani dikhai de

wo munjamid hai barf ki manind ai 'shamim'
baaton mein jis ki shoala-bayani dikhai de