اردو हिंदी
Lafzon mein asar kahan se aaya | Shaahi Shayari
lafzon mein asar kahan se aaya

Ghazal

Lafzon mein asar kahan se aaya

Krishna Kumar Toor

;

lafzon mein asar kahan se aaya
raste mein ye ghar kahan se aaya

main hijr mein muskura raha hun
mujh mein ye hunar kahan se aaya

ek aag si ab lagi hui hai
pani mein asar kahan se aaya

nezon pe saron ko dekhta hun
diwar mein dar kahan se aaya

lau dene lage hain KHak-dan bhi
miTTi mein asar kahan se aaya

ab main kya bataun mujh mein ai 'tur'
jine ka hunar kahan se aaya