lafzon ko saja kar jo kahani likhna 
ho zikr lahu ka bhi to pani likhna 
ab aks-e-mohabbat bhi hua hai kamyab 
is daur mein hai kaisi girani likhna 
go yaad hai ab tak mujhe gham ka mausam 
par Thik nahin dil ki kahani likhna 
raftar-e-hawa tez hui hai ki nahin 
ye dekh ke pani ki rawani likhna 
piri ke nagar mein to hai kohram bapa 
kis haal mein hai shahr-e-jawani likhna 
guzre hue din ka ho agar zikr 'sadaf' 
guzri hai jo ek sham suhani likhna
        Ghazal
Lafzon ko saja kar jo kahani likhna
Sadaf Jafri

