اردو हिंदी
Lafzon ke siyah pairahan mein lipTi hui kuchh tanwiren hain | Shaahi Shayari
lafzon ke siyah pairahan mein lipTi hui kuchh tanwiren hain

Ghazal

Lafzon ke siyah pairahan mein lipTi hui kuchh tanwiren hain

Makhmoor Saeedi

;

lafzon ke siyah pairahan mein lipTi hui kuchh tanwiren hain
ai dida-waro pahchano to kis hath ki ye tahriren hain

jati hui rut kab rukti hai ai dil ye abas tadbiren hain
jo qaid hawaon ko kar len kya aisi bhi kuchh zanjiren hain

naghma wo kis ne chheDa hai bichhDe hue gham sab aan mile
aawaz ki lahron par larzan sau mohr-ba-lab taswiren hain

aawara hawa ke jhonkon par akasr ye guman guzra jaise
ye hum se preshan-haalon ki be-samt-o-jehat taqdiren hain

is shahr mein le kar aae hain hum shabnam-o-gul ki saughaten
aankhon mein jahan angare hain hathon mein jahan shamshiren hain

kuchh KHwab ujalon ke hum ne dekhe the magar ta-hadd-e-nazar
jo zulmat ban kar phail gain kin KHwabon ki tabiren hain

kyun aaj ki jaani-pahchani shaklon se nazar manus nahin
aankhon mein jo phirti rahti hain kis daur ki ye taswiren hain

hum apni zat ke zindan se bahar jo nikal aae bhi to kya
qadmon se jo lipTi paDti hain rahen ye nahin zanjiren hain