lafzon ke but TuT chuke hain
kora kaghaz paDa hua hai
gidh ne kab zindon ko nocha
sher ne kab murdon ko chhua hai
apni apni bin sambhaalo
suna hai shahr mein nag aaya hai
gunge bol rahe hain patthar
sannaTa reza reza hai
ghar ka kuan bhi be-masraf sa
sagar mein tezab bhara hai
saunp gai hai KHud ko mujhe wo
hara bhara din aawara hai
naddi mein ji bhar ke nahaen
kuan badan se bhar jata hai
Ghazal
Lafzon ke but TuT chuke hain
Ahmad Soz