lafzon ka ye KHazana tere nam kab hua
ye sher kab kahe tujhe ilham kab hua
ye baat Thik hai ki mujhe dam kam mile
chupke se bik gaya hun main nilam kab hua
kaisi sharab hun ki hai tishna mere hi lab
apne liye main durd-e-tah-e-jam kab hua
ye hai mera nasib ki shohrat nahin mili
lekin koi batae ki bad-nam kab hua
aata raha hun yaad main us ko tamam umr
is zawiye se ishq mein nakaam kab hua
wo hadse ki zehn hi mafluj ho gae
ye bhi nahin hai yaad ki kohram kab hua
ab ho raha hai zikr-e-musawat har taraf
logon ko ilm hai ye chalan aam kab hua
Ghazal
Lafzon ka ye KHazana tere nam kab hua
Sardar Asif