اردو हिंदी
Lafzon ka saeban bana lene dijiye | Shaahi Shayari
lafzon ka saeban bana lene dijiye

Ghazal

Lafzon ka saeban bana lene dijiye

Fuzail Jafri

;

lafzon ka saeban bana lene dijiye
sayon ko taq-e-dil mein saja lene dijiye

gahre samundaron ki tahen mat khangaliye
dil ko khuli hawa ka maza lene dijiye

sochega zehan sare masail ke hal magar
pahle badan ki aag bujha lene dijiye

kab tak misal-e-dasht sahen mausamon ka jabr
KHwabon ka koi shahr basa lene dijiye

yaadon ke khet sukh chale ab to 'jafari'
taza ghamon ki fasl uga lene dijiye