lafz yun KHamushi se laDte hain
jis tarah gham hansi se laDte hain
jaanwar jaanwar se laDta hai
aadmi aadmi se laDte hain
maut ki aarzu mein diwane
umr-bhar zindagi se laDte hain
jis se hai dosti ka hukm hamein
hum bhi pagal usi se laDte hain
dusron se kabhi nahin laDte
log jo bhi KHudi se laDte hain
ye andheron ke hukmaran sare
aaj bhi raushni se laDte hain
jo ana ke mariz hote hain
har nae din kisi se laDte hain
aur bhi log jab hain basti mein
aap kyun kar hami se laDte hain
un ko mazdur kahna Thik nahin
log jo muflisi se laDte hain
'abr' be-kar log puchhte hain
aap bhi kya kisi se laDte hain
Ghazal
Lafz yun KHamushi se laDte hain
Anis Abr