lafz to milte nahin izhaar-e-mahsusat ko
ab wo samjhen ya na samjhen mere dil ki baat ko
dar-haqiqat tur par musa ko sujhi hi nahin
warna aankhen jazb kar letin tajalliyat ko
meri aage se haTa lo ya to ye mubham kitab
ya palaTne do mujhe auraq-e-maujudat ko
hae mat puchho mariz-e-gham ki kaifiyat-e-karb
nind kya ghaflat si ho jati hi pichhli raat ko
meri aahon mein ba-qaul un ke agar taqat nahin
charKH se phir kyun sitare TuTte hain raat ko
pahle to dil mein KHuda jaane kidhar se aa chhupe
phir sitam ye hai ubhaara mere mahsusat ko
tak raha hai phir koi hasrat se su-e-asman
phir kahin jazba na aa jae tajalliyat ko
munh andhere jab jahan sota hai mad-hoshi ki nind
main suna karta hun saz-e-ruh ke naghmat ko
chandni ho ya andheri mujh ko 'talib' wasta
main to aafat hi samajhta hun hamesha raat ko

Ghazal
Lafz to milte nahin izhaar-e-mahsusat ko
Talib Baghpati