lafz-o-mani ke samundar ka safar hain kuchh log
yar is daur mein bhi ahl-e-nazar hain kuchh log
ye haqiqat hai ki bachchon ki zarurat ke liye
surat-e-silsila-e-gard-e-safar hain kuchh log
hum ne to un se kabhi haq ke siwa kuchh na suna
jurm kya un ka hai kyun shahr-badar hain kuchh log
nur chehre pe to baaton mein mahak hoti hai
chand ka aks hain KHushbu ka nagar hain kuchh log
kitne pagal hain ki rajat ko taraqqi samjhe
aasmanon ki taraf mahw-e-safar hain kuchh log
Ghazal
Lafz-o-mani ke samundar ka safar hain kuchh log
Shams Ramzi