lafz o bayan ke pas-manzar tak ek qaus-e-imkani aur
meri jast-e-hunar ko likh de koi samt-e-maani aur
bast-o-kushad-e-bazu kya hai sanson ki halchal ke siwa
chand ghira ho jab maujon mein baDhti hai tughyani aur
sehr-e-sawad-e-bahr-o-bar se kitne tufan ubharte hain
ab is shorish-e-ab-o-gil ko miTTi aur na pani aur
dasht-e-nawa par chha jaega is ke baad ek lamba sukut
main chautha darwesh hun mujh se sun lo ek kahani aur
main hun ghazal-e-mushk-guzida mera safar hai tir ke sath
jab hoti hai tez ye KHushbu baDhti jaulani aur
Ghazal
Lafz o bayan ke pas-manzar tak ek qaus-e-imkani aur
Mohammad Ahmad Ramz