lafz koi zaban se nikla
tir jaise kaman se nikla
Dhalte suraj ko dekh kar saya
mere TuTe makan se nikla
jab bhi manzil mujhe nazar aai
main safar ki takan se nikla
sham-e-rangin ka gum-shuda suraj
subh ke saeban se nikla
aadmi ka yaqin kya kije
ab KHuda bhi guman se nikla
ghar mein faqa tha jis jis ke chehre par
ghar se nikla to shan se nikla
KHud ko show-case mein saja kar main
KHwahishon ki dukan se nikla
Ghazal
Lafz koi zaban se nikla
Sauf Sadiq