lafz ko ilham mani ko sharar samjha tha main
dar-haqiqat aib tha jis ko hunar samjha tha main
raushni thi aankh thi manzar tha phir kuchh bhi na tha
hae kis aashob ko apni nazar samjha tha main
aasmanon ko lapakte hain zamin-zade sabhi
murgh-e-adam-zad ko be-baal-o-par samjha tha main
kun ka afsun-e-azal phunka gaya tha jis ghaDi
mujh ko ab bhi yaad hai bar-e-digar samjha tha main
hai koi? jo mere is lamhe pe girya kar sake
jab mujhe bilkul samajh na thi magar samjha tha main
apne bachchon ki tarah us ne uDaya mujh ko sath
jis hawa-e-tund-KHu ko dar-ba-dar samjha tha main
mujh pe farsuda aqaed ki ajab yalghaar thi
chhoTe chhoTe waswason ko KHair-o-shar samjha tha main
regzar-e-shab-gazida tujh mein ta-hadd-e-nazar
dhup ka aaseb tha jis ko shajar samjha tha main
be-sar-o-samaniyon ki intiha thi 'jafari'
jab dar-o-diwar ko diwar-o-dar samjha tha main
bab-e-hairat jab talak khulta liyaqat-'jafari'
qais ko farhad ko aashufta-sar samjha tha main
Ghazal
Lafz ko ilham mani ko sharar samjha tha main
Liaqat Jafri