lafz ka kitna taqaddus hai ye kab jaante hain
log bas baat bana lene ka Dhab jaante hain
apni pahchan bhala Dolte lafzon mein kahan
zabt ka nashsha larazte hue lab jaante hain
sab ne gul-kari-e-diwar-e-sara hi lekin
kitne diwar uThane ka sabab jaante hain
shahr wale to hawaon mein ghule zahr ka haal
rang taswir se uD jate hain tab jaante hain
aap chahen to use josh-e-numu kah lije
hum magar barf sulagne ka sabab jaante hain
dhup ka aks bhi 'sajjad' faqat saya hai
kis tarah din mein sama jati hai shab jaante hain
Ghazal
Lafz ka kitna taqaddus hai ye kab jaante hain
Sajjad Babar