laDkhaData hun kabhi KHud hi sambhal jata hun
main bhi raston ke hi bartao mein Dhal jata hun
minnaten mujh se kiya karte hain dariya aa kar
aur main pyas chhupa kar ke nikal jata hun
din wirasat mein mujhe raushni de jata hai
wo diya hun ki sar-e-sham hi jal jata hun
chaak pe aa ke nahin chalti hai marzi meri
ye bahut hai jo kisi shakl mein Dhal jata hun
be-sada si kisi aawaz ke pichhe pichhe
chalte chalte main bahut dur nikal jata hun
aaina roz bharam rakhta hai qaem mera
warna ye sach hai main har roz badal jata hun
aaj mahfil se teri uTTha hun shaer ho kar
teri aankhon se liye ek ghazal jata hun
Ghazal
LaDkhaData hun kabhi KHud hi sambhal jata hun
Sarfraz Nawaz