laDi is ThaT se mankuha-e-kafir-bayan meri
farishte likhte likhte chhoD bhage dastan meri
mohalle-bhar ki diwaron pe sar hi sar nazar aae
mere bachchon ne jis dam luT li tarz-e-fughan meri
ajab kuchh lutf rakhta hai jo kahte hain miyan biwi
ki shadi ho gai lekin kahan teri kahan meri
musalman hun magar ye soch kar marne se Darta hun
na jaane kis ke ghar jae bala-e-na-gahan meri
wahi hai iKHtilaf-e-bahami ki anjuman ab to
faqat shadi ke din us ne milai han mein han meri
bahut shaista-e-andaz-e-guftan hai zaban us ki
nahin minnat-kash-e-tab-e-shunidan dastan meri
Ghazal
LaDi is ThaT se mankuha-e-kafir-bayan meri
Mohammad Taha Khan