ladi hai phulon se phir bhi udas lagti hai
ye shaKH mujh ko meri gham-shanas lagti hai
kisi kitab ke andar dabi hui titli
usi kitab ka ek iqtibas lagti hai
wo maut hi hai jo deti hai sau tarah ke libas
ye zindagi hai ki jo be-libas lagti hai
thi qahqahon ki tamanna to aa gae aansu
KHushi ki aarzu gham ki asas lagti hai
uTha ke dekh sarabon ke aaine ko zara
nadi ke pas bhala kis ko pyas lagti hai
Ghazal
Ladi hai phulon se phir bhi udas lagti hai
Shakeel Shamsi