اردو हिंदी
LaDaen aankh wo tirchhi nazar ka war rahne den | Shaahi Shayari
laDaen aankh wo tirchhi nazar ka war rahne den

Ghazal

LaDaen aankh wo tirchhi nazar ka war rahne den

Bekhud Dehlvi

;

laDaen aankh wo tirchhi nazar ka war rahne den
laDakpan hai abhi nam-e-KHuda talwar rahne den

kahen kis munh se apna aaina-bardar rahne den
tamanna hai ghulami mein hamein sarkar rahne den

wo kyun 'beKHud' ko mahw-e-lazzat-e-didar rahne den
wo diwane nahin ghafil ko jo hushyar rahne den

mere dam tak wafa o ishq bhi duniya mein baqi hain
masihai yahi hai wo mujhe bimar rahne den

qayamat aa gai ab to gala murdar ka kaTen
kahan tak maut ko zinda tere bimar rahne den

isi parde ne umr-e-KHizr shauq-e-did ko baKHshi
qayamat tak wo apni garmi-e-bazar rahne den

sun ai qasid unhen zid hai to hum ko baat ki pach hai
munasib wo agar samjhen to ye takrar rahne den

mere matam ki kya jaldi hai kyun zewar baDhate hain
abhi aarasta wo husn ka bazar rahne den

agar munkar nakir aate hain turbat mein to aa jaen
na chheDen wo mujhe mahw-e-jamal-e-yar rahne den

qafas mein bekason ko kis ne puchha kaun puchhega
kahan tak zaKHm ki surat mein wa minqar rahne den

nigah-e-sharm ke zaKHmi hain tegh-e-naz ke bismil
taDapne ke liye hum ko pas-e-diwar rahne den

ye fiqre hain ye chaalen hain nazar lakhon mein uTh jati
udu ke samne wo ho gae na-chaar rahne den

jigar mein dard dil mein Tis dam ghuTne laga apna
bhala hum ek ghar mein aur do bimar rahne den

mohabbat se hamein nafrat hasinon se hamein wahshat
dil-azari ki baaten ab ye dil-azar rahne den

hamare kan lafz-e-bewafa sun hi nahin sakte
ye KHilat to udu ke waste sarkar rahne den

meri turbat pe un ko sarf-e-beja ki zarurat kya
kabhi kaam aaega ye fitna-e-raftar rahne den

muqaddar ko badal den wo zamane ko KHafa kar den
magar apne tasawwur ko mera gham-KHwar rahne den

nazar un ki kahin putli kahin aankhen kahin un ki
ye gardish dusri surat ki hai purkar rahne den

wo kyun mujh ko tasalli den wo kyun pochhen mere aansu
ghira hai abr-e-gham aankhon ko gauhar-bar rahne den

koi 'beKHud' ki jaanib se zara samjhae waiz ko
ibaadat ko farishte hain use mai-KHwar rahne den