اردو हिंदी
Labrez-e-haqiqat go afsana-e-musa hai | Shaahi Shayari
labrez-e-haqiqat go afsana-e-musa hai

Ghazal

Labrez-e-haqiqat go afsana-e-musa hai

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

;

labrez-e-haqiqat go afsana-e-musa hai
ai husn-e-hijab-ara kis ne tujhe dekha hai

mahfil si sajai hai didar ki hasrat ne
har-chand tera jalwa mahbub-e-tamasha hai

miTta hai kabhi dil se naqsh us ki mohabbat ka
nakaam tamanna bhi majbur tamanna hai

jazbaat ki duniya mein barpa hai qayamat si
is haal mein ru-poshi kya aap ko zeba hai

saqi teri mahfil ko rangin kiya jis ne
wo KHun hai taqwe ka ya jalwa-e-mina hai

ek shewa taghaful hai ek ishwa tajahul hai
ghussa hai baja tera shikwa mera beja hai

ye be-dili achchhi hai diwana na ban 'wahshat'
anjam tamanna ka hasrat ke siwa kya hai