اردو हिंदी
Labon pe shikwa-e-ayyam bhi nahin hota | Shaahi Shayari
labon pe shikwa-e-ayyam bhi nahin hota

Ghazal

Labon pe shikwa-e-ayyam bhi nahin hota

Waqar Sahar

;

labon pe shikwa-e-ayyam bhi nahin hota
zaban pe ab to tera nam bhi nahin hota

kabhi kabhi use sochun to soch leta hun
kabhi-kabhaar ye ek kaam bhi nahin hota

ye mai-kada hai nahin mai-kasho ye dhoka hai
yahan to nashsha tah-e-jam bhi nahin hota

nahin ye dard nahin ye zarur hai kuchh aur
ki us mein to mujhe aaram bhi nahin hota

wo ajnabi sa rawayya wo dil-shikan andaz
jab un ke honTon pe ilzam bhi nahin hota

tere baghair masafat mein pul-siraat hua
wo rahguzar jo do gam bhi nahin hota

'sahar' tum us se mulaqat kaise karte ho
wo shaKHs ab to lab-e-baam bhi nahin hota