labon pe ab koi aah-o-fughan nahin hoti
zaban se dil ki kahani bayan nahin hoti
KHalish to aaj bhi hoti hai mere sine mein
nashist-e-dard jahan thi wahan nahin hoti
KHuda ne chaha to mil jaenge kahin na kahin
bichhaD ke KHatm yahan dastan nahin hoti
jo KHud se milte hain hum be-KHudi ke aalam mein
tumhaari yaad talak darmiyan nahin hoti
wo qatl ho ke bhi qatil pe muskuraati hai
ajal se zist kabhi bad-guman nahin hoti
tumhaare chahne wale wahan nahin milte
dilon mein dard ki shiddat jahan nahin hoti
Ghazal
Labon pe ab koi aah-o-fughan nahin hoti
Shola Haspanvi