اردو हिंदी
Labon par pyas sab ke be-karan hai | Shaahi Shayari
labon par pyas sab ke be-karan hai

Ghazal

Labon par pyas sab ke be-karan hai

zafar iqbal zafar

;

labon par pyas sab ke be-karan hai
har ek jaanib magar andha kuan hai

hai koi aks-e-rangin aaine par
jab hi to aaine mein kahkashan hai

judai ka na qissa wasl ka hai
adhuri kis qadar ye dastan hai

kisi se koi bhi milta nahin ab
har ek insan yahan to bad-guman hai

nahin kuchh bolte hain jabr sah kar
lage tarshi hui sab ki zaban hai

watan mein rah ke bhi hai be-watan ye
bahut mazlum ye urdu zaban hai

kisi ka dard banTe gham mein roe
'zafar' ehsas logon mein kahan hai