labon par pyas ho to aas ke baadal bhare rakhiyo
sarabon ke safar mein is tarah gulshan hare rakhiyo
ye bazar-e-jahan hai be-gharaz koi nahin milta
parakh kar jab talak dekho nahin sab ko pare rakhiyo
wafa ke bol par be-mol bik jati hai ye duniya
agar ho be-sar-o-saman to ye sikke khare rakhiyo
kisi ke samne daman pasare se milega kya
agar insan ho KHuddariyon se ghar bhare rakhiyo
sharabon se bhare pyale mujhe takne ki aadat hai
badan bhiga rasile honT naina mad-bhare rakhiyo
na jaane kab kisi ke KHwab se ye dil dhaDak jae
agar sone lago to hath sine par dhare rakhiyo
Ghazal
Labon par pyas ho to aas ke baadal bhare rakhiyo
Ibrahim Ashk