labon ko khol to kaisa bhi ho jawab to de
na banT sud-o-ziyan ko magar hisab to de
wafa, KHulus o mohabbat ko phir samajhna hai
kahan likhe hain ye alfaz tu kitab to de
ab is tarah bhi riwayat se inhiraf na kar
badal agarche tu achchha na de, KHarab to de
ye kya ki apni hi raftar par hai wo nazan
kisi ke rengte qadmon ko aab-o-tab to de
chhalak raha hai zamane ke sabr ka pyala
hamare ahd ke firaun ko azab to de
tapish ne waqt ki jhulsa ke un ko rakkha hai
KHizan-nasibon ko thoDa sahi shabab to de
hai iKHtiyar mein jitna tere tu utna to kar
na mil sake koi tabir, un ko KHwab to de
main teri tang-nigahi ki kya karun tawil
sulagti aaankhon ko pani na de sarab to de
yun nasl-e-nau ki zehanat ko mumtahin na parakh
jise paDhe ye nai nasl wo kitab to de
kisi ko kya hai gharaz jo paDhe teri rudad
kare appeal kisi ko wo ek bab to de
taDap rahi hai zamin kab se munsifi ke liye
nabi nahin to zamane ko 'bu-turab' to de

Ghazal
Labon ko khol to kaisa bhi ho jawab to de
Quaiser Khalid